Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat
![](https://alimamwelfareassociation.com/wp-content/uploads/2022/03/ob_973e03_00-1.jpg)
Sha’aban Ki Haisiyat Kya Hai?
Ek riwayat main Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne is mahine ko apna mahina qarar dia hai, chunache farmaya:
Sha’aban mera maheena aur Ramadan ALLAH Ta’ala ka maheena hai.
Ye bhi dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika
Sha’aban Ko Sha’aban Kyon Kahte Hai?
Hazrat Anas R.A. farmate hain:
Sha’aban ko “Sha’aban” is liye kaha jata hai kyunke is mai roza rakhne wale ke liye buhat si khairen aur bhalaiyan (shakhon ki tarah) phootti hain, yahan tak ke wo jannat mai jaa puhanchta hai.
Is mahine mai aamal ki paishi hoti hai, chunache Hazrat Osama bin Zaid R.A. se riwayat hai ke Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim irdhad farmate hain:
Rajjab aur Ramadan ke darmiyan jo Sha’aban ka maheena hai (aam tor par) log us se gaflat ka shikar hote hain, halanke is maheene mai bando ke aamal ALLAH Ta’ala ke huzoor paish kiye jaate hain.
Hazrat Anas R.A. se marwi hai ke jab Rajjab ka mahina dakhil hota to Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim yeh dua parha parha karte the:
“ALLAHumma Barik Lanaa Fee Rajaba, Wa Sha’abana, Wa Ballaghnaa Ramazana”
“Ae ALLAH! Rajjab aur Sha’aban ke maheene mai hame barkat ata farma aur hame (bakhair-o-aafiyat) Ramadan-ul-Mubarik tak puhancha dijiye.
Ye bhi dekhiye→ Ya Zal Jalali Wal Ikram