Pehli Fazeelat: Bakasrat Logon Ki Maghfirat
Is shab mai ALLAH Ta’ala be-shumar logon ki magfirat kar dete hain, chunache Hazrat A’isha Siddiqua R.A. Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ka yeh irshad naqal farmati hain ke beshak ALLAH Sha’aban ki pandraween shab main aasmaani dunya par (apni shaan ke mutabik) nuzool farmate hain aur qabeela “Kalb” ki bakriyon ke balon ki ta’adad se bhi zyada logon ki magfirat farma dete hain.
Qabeela “Banu Kalb” arab ka ek qabeela hai jo bakriyan kasrat se rakhne mai mashoor tha, aur bakriyon ke balon ki ta’adad se zyada magfirat karne ke do matlab zikr kiye gae hain:
- Pehla matlab yeh hai ke is se gunahgar murad hain, ya’ani is qadar kaseer gunahgaron ki magfirat ki jaati hai ke jin ki ta’adad un bakriyon ke balon ki ta’adad se bhi zyada hoti hai. Aur is ka hal yeh hai ke be-shumar logon ki magfirat hoti hai.
- Dusra matlab yeh bhi bayan kia gaya hai ke is se gunahgar nahi balke gunah murad hain, yaani agar kisi ke gunah banu kalb ki bakriyon ke balon se bhi ziada hon to ALLAH Ta’ala apne fazal se ma’af farma dete hain.